Did you feel this way on your last day in college?
Raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se
Bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko
par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai
jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai
kaha karte the ..badi mushkil se dhai saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya
na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
kisi ki party to kisi ki coffee rah gayi
meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega
KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega
mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga
kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga
na jane kab main agle do ghoot piyoonga
aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein
mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga
kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai
movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga
doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir kar payenge
kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege
meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga
No comments:
Post a Comment